April 12, 2009

Something for the 'Hindi' loving souls!

A Small verse in Hindi. Something which was written by me back in 2005 or 2006...
Arz kiya hai :) -

"Kaisi ajeeb uljhan hai is manav jeevan ki,

Samajh na payee mein ye leela apne bhagwan ki!



Kabhi bheed mein bhi hum paate hain tanha khud ko...
Toh kyu tanhayee mein bhi paate hai hum saath kisi ko?

Kabhi achche se samajte hain hum rishton ki gehrayee...

Toh kyu kabhi lagte hain hum khud hi khud se paraye?



Kabhi lagte hain hume hamare apne bhi paraayon se...
Toh kyu kabhi lagte hain koi paraaye hamare apno se?



Kabhi saalo lag jate hai samajhne me logon ko...
Toh kaise kabhi chand lamho mein hi samajh lete hai hum kisiko?



Kaisi ajeeb uljhan hai is jeevan ki...
Samajh na payee mein yeh leela apne bhagwan ki!


PS: Will try to come up with its English version soon :)